VERSE.1:
Mai mera ghar or Mera Gharana
nith Yahova ki stuti karu (2)
Maa ke Samaan tune pyar kiya
Har dard ko tune sehlaya (2)
CHORUS:
Ebenesare Ebenesare
Tune mujhe sambhala
Ebenesare Ebenesare
Tune Mujhe bachaya hai
Dhanyawad Dhanyawad Dhanyawad
Abba pita tera Dhanyawad
Dhanyawad Dhanyawad Dhanyawad
Gale se lagaya Dhanyawad
VERSE.2:
Tute huye mann ko tune savara
Khushiyon se hai bhara (2)
Mere har dhukon ko Tune uthaya
Mai dhanyawad karta rahunga (2)
VERSE.3:
Sab naamo se uncha tera hi naam
Maangne se jyada mila(2)
Apne hathon se mujhko bunaya
Teri raahon par chalna sikhaya (2)
VERSE.4:
Gyaniyon ke bich teri bulahat
Mujh murkhata ko jeevan diya (2)
Mai yogya nahi hu prabhuji
Apna beta mujhko banaya (2)
